February 25, 2008

Badi sooni ye shaam hai

Badi sooni phir ye shaam hai
Wahi beasar ladkhadaate jaam hai
kehne ko saath, log tamaam hai
Phir kyon tanha baitha ye gumnaam hai
Aisa nahi ke is saher mein ham benaam hai
Bebas, begairat, bewafaa, naakhuda...........
Duniyaa ne diye aise kai naam hai
Mere sar abhi dheron ilzaam hai
Yaaron ne diya acha ye paigaam hai
Ke sadiyon ki wafa ka hota yahi anjaam hai
Aise doston, aisi mohabbat ko mera salaam hai
Ye sooni shaam, ye tanha jaam.................
Us dosti, us ulfat ke naam hai
Jinki wajah se Faaqir aaj bhi badnaam hai
Badi sooni phir ye shaam hai
Wahi beasar ladkhadaate jaam hai
Badi sooni ye shaam hai...................................
Badi sooni ye shaam hai...................................

0 comments: