April 08, 2007

Hamari naadaaniyo ki daastaa

Hamari naadaaniyo ki daastaa na pucho
Hamare sabr ka imtehaa hai ye
Unki jafaao ka intehaa na pucho
Hamare dile-naasur ka bayaa hai ye
Khwaaisho ki udaano ka aasmaa na pucho
Tadapte dil ke chand ankahe armaa hai ye
Unki yaado ka karwaa na pucho
Barbas baraste aansuo ka sama hai ye
Hamare khwaabo ka tuta makaa na pucho
Hamari barbaad mohabbat ka zahaa hai ye
Is dil mein dafn chand nisaa na pucho
Kya kahe ke kiski barkate meherbaa hai ye
Gar puchna ho to Faaqir koi jaakar unse pucho
Unki wo kasme wo waade wo jhooti baatein
Wo bechain dil wo bekaraar raatein
Gar bhool gaye to kya hai ye
Gar yaad hai to kaha hai ye
Wo ulfat ye furkat
Wo hasrat ye fitrat
Aakhir kya hai ye aakhir kyo hai ye
Hamare sabr ka imtehaa hai ye
Hamari naadaaniyo ki daastaa hai ye.................

0 comments: