Wo sooni si gali wo ujda makaan
Wo sakra sa zeena uska toota har paaydaan
Hai yaad wo har bichde puraane nisaan
Saikdo dafa us zeene se chadna
Lohe ki salakho ka wo khulla sa darwaza
Us roshan baramde ki wo tooti si kursi
Wo chahekta sa kamra wo mahekti shaamein
Wo kadi dopahari wo sardi ki raatein
Kyo yaad aati hai wo saari baatein
Us kamre ki wo ajab si khusboo
Un baahon ka wo roomaani ghera
Un sharmaati aankho ko dhakte wo uljhe se gesu
Un larazte hothon ki wo haseen shararat
Un naazuk se komal haathon ki haraarat
Wo roothna manana wo hasna rulaana
Milne ka bahana wo padhna padhaana
Wo thande hote bin piye chaay ke pyaale
Wo choti moti mohabbat ki rasme
Wo saath jine marne ki kasme
Unki aankho mein wo sadiyo ka bharosa
Meri khaatir tanha duniya se ladne ka unka wo andaaz anokha
Bhulaaye nahi bhoolti wo kasme wo waade wo saari baatein
Phir jindagi ki talaash mein ek roz ham alag alag raaho pe chal pade
Faasle door door hote bahut door ho gaye
Kuch duniya kuch jindagi ke haatho ham bhi majboor ho gaye
Na jaane kab wo jindagi ka mod aa gaya
Jaha se palat kar use dekh paana mumkin na tha
Saayad uska laut aana bhi ab mumkin na tha
Wo door kya hue hamaari duniya badal gayi
Ye dil jaanta hai hamne kya kuch na dekha kya kuch na saha
Haan nahi badli to wo yaadein wo baatein wo sooni raatein
Kai dafa ab bhi us gali se guzarta hoon
Par wo gali ab sooni na rahi
Wo bhi ab pehle se na rahe
Na to use kuch yaad hai na hamare darmayaan ab wo baat hai
Us dariche mein un aankho ko dhoondta hoon
Par na waha wo aankhe hai
Na wo tooti kursi na Deewaar pe tangi wo tasweerein hai
Haan unki duniya bhi badal gayi hai
Suna hai duniya ne badi tarakki jo kar li hai
Kya jaane wo kaha se kaha badh gaye
Aur main tha Faaqir ke wahi khada dekhta rah gaya
Kyo meri jindagi wahi thaher si gayi
Usi kamre ki kisi deewaar mein saayad meri rooh dafan si ho gayi
Chalti saans aur dhadakte dil se ehsaas ye hota hai
Ke ye laash shayad ab bhi zindaa hai

Kaha kho gaye wo jinki aaj bhi aas hai
Jiske mit te nahi armaan hai
Kaha kho gayi wo sooni si gali wo ujda sa makaan
Kaha talaashoon kaha hai
Wo Sooni si gali wo ujda makaan...........
Wo sooni si gali wo ujda makaan............
Jiske mit te nahi armaan hai
Kaha kho gayi wo sooni si gali wo ujda sa makaan
Kaha talaashoon kaha hai
Wo Sooni si gali wo ujda makaan...........
Wo sooni si gali wo ujda makaan............
.jpg)
0 comments:
Post a Comment